Tughluqabad

Agra Fort, from the Berger Collection

 

Ghazal 232

9 divan verses (out of 9); rhyming elements: aam bahut hai
composed 1852; Arshi #225

{232,1}

;Gam khaane me;N bodaa dil-e naa-kaam bahut hai
yih ranj kih kam hai mai-e gulfaam bahut hai

{232,2}

kahte hu))e saaqii se ;hayaa aatii hai varnah
hai yuu;N kih mujhe durd-e tah-e jaam bahut hai

{232,3}

ne tiir kamaa;N me;N hai nah .sayyaad kamii;N me;N
goshe me;N qafas ke mujhe aaraam bahut hai

{232,4}

kyaa zuhd ko maanuu;N kih nah ho garchih riyaa))ii
paadaash-e ((amal kii :tama((-e ;xaam bahut hai

{232,5}

hai;N ahl-e ;xirad kis ravish-e ;xaa.s pah naazaa;N
paa-bastagii-e rasm-o-rah-e ((aam bahut hai

{232,6}

zamzam hii pah chho;Ro mujhe kyaa :tauf-e ;haram se
aaluudah bah mai jaamah-e a;hraam bahut hai

{232,7}

hai qahr gar ab bhii nah bane baat kih un ko
inkaar nahii;N aur mujhe ibraam bahut hai

{232,8}

;xuu;N ho ke jigar aa;Nkh se ;Tapkaa nahii;N ai marg
rahne de mujhe yaa;N kih abhii kaam bahut hai

{232,9}

hogaa ko))ii aisaa bhii kih ;Gaalib ko nah jaane
shaa((ir to vuh achchhaa hai pah bad-naam bahut hai