Tughluqabad

Agra Fort, from the Berger Collection

 

Ghazal 234

14 divan verses (out of 14); rhyming elements: aa;N ke liye
composed 1847; Arshi #211

{234,1}

naved-e amn hai bedaad-e dost jaa;N ke liye
rahii nah :tarz-e sitam ko))ii aasmaa;N ke liye

{234,2}

balaa se gar mizhah-e yaar tishnah-e ;xuu;N hai
rakhuu;N kuchh apnii bhii mizhgaan-e ;xuu;N-fishaa;N ke liye

{234,3}

vuh zindah ham hai;N kih hai;N ruu-shinaas-e ;xalq ai ;xi.zr
nah tum kih chor bane ((umr-e jaavidaa;N ke liye

{234,4}

rahaa balaa me;N bhii mai;N mubtalaa-e aafat-e rashk
balaa-e jaa;N hai adaa terii ik jahaa;N ke liye

{234,5}

falak nah duur rakh us se mujhe kih mai;N hii nahii;N
daraaz-dastii-e qaatil ke imti;haa;N ke liye

{234,6}

mi;saal yih mirii koshish kii hai kih mur;G-e asiir
kare qafas me;N faraaham ;xas aashiyaa;N ke liye

{234,7}

gadaa samajh ke vuh chup thaa mirii jo shaamat aa))e
u;Thaa aur u;Th ke qadam mai;N ne paas-baa;N ke liye

{234,8}

bah qadr-e shauq nahii;N :zarf-e tangnaa-e ;Gazal
kuchh aur chaahiye vus((at mire bayaa;N ke liye

{234,9}

diyaa hai ;xalq ko bhii taa use na:zar nah lage
banaa hai ((aish tajammul ;husain ;xaa;N ke liye

{234,10}

zabaa;N pah baar-e ;xudaayaa yih kis kaa naam aayaa
kih mere nu:tq ne bose mirii zabaa;N ke liye

{234,11}

na.siir-e daulat-o-dii;N aur mu((iin-e millat-o-mulk
banaa hai char;x-e barii;N jis ke aastaa;N ke liye

{234,12}

zamaanah ((ahd me;N us ke hai ma;hv-e aaraa))ish
bane;Nge aur sitaare ab aasmaa;N ke liye

{234,13}

varaq tamaam hu))aa aur mad;h baaqii hai
safiinah chaahiye is ba;hr-e be-karaa;N ke liye

{234,14}

adaa-e ;xaa.s se ;Gaalib hu))aa hai nuktah-saraa
.salaa-e ((aam hai yaaraan-e nuktah-daa;N ke liye