TEN == EXERCISES
19-24
*Ghazal 19 by Ghalib, pp. 324-325*
*Ghazal 20 by Ghalib, p. 331*
*Ghazal 21 by Dagh, p. 367*
*Ghazal 22 by Dagh, pp. 371-372*
*Ghazal 23 by Akbar Ilahabadi, pp. 396-397*
*Ghazal 24 by Iqbal, p. 425*
Ghazal 19,
by Ghalib, pp. 324-325:
gar ;xaamushii se faa))idah
a;xfaa-e ;haal hai
;xvush huu;N kih merii baat samajhnii mu;haal hai
kis parde me;N hai
aa))inah-pardaaz ai ;xudaa
ra;hmat kih ((u;zr-;xvaah lab-e be-savaal hai
hai hai ;xudaa na;xvaastah
vuh aur dushmanii
ai shauq-e munfa((il yih tujhe kyaa ;xayaal hai
hastii ke mat fareb
me;N aa jaa))iyo asad
((aalam tamaam ;halqah-e daam-e ;xayaal hai
GHAZAL
20 by Ghalib, p. 331:
hai baskih har ik un
ke ishaare me;N nishaa;N aur
karte hai;N mu;habbat to gu;zartaa hai gumaa;N aur
yaa rab vuh nah samjhe
hai;N nah samjhe;Nge mirii baat
de aur dil un ko jo nah de mujh ko zabaa;N aur
har chand subuk dast
huu))e but-shikanii me;N
ham hai;N to abhii raah me;N hai sang-e giraa;N aur
paate nahii;N jab raah
to cha;Rh jaate hai;N naale
ruktii hai mirii :tab((a to hotii hai ravaa;N aur
hai;N aur bhii dunyaa
me;N su;xanvar bahut achchhe
kahte hai;N kih ;Gaalib kaa hai andaaz-e bayaa;N aur
GHAZAL 21 by
Dagh, p. 367:
yaa rab hai ba;xsh
denaa bande ko kaam teraa
ma;hruum rah nah jaa))e kal yih ;Gulaam teraa
jab tak hai dil ba;Gal
me;N har dam ho yaad terii
jab tak zabaa;N hai mu;Nh me;N jaarii ho naam teraa
hai tuu hii dene vaalaa
pastii se de bulandii
asfal maqaam meraa a((al;aa maqaam teraa
ma;hruum kyuu;N rahuu;N
mai;N jii bhar ke kyuu;N nah luu;N mai;N
detaa hai rizq sab ko hai fai.z ((aam teraa
yih daa;G bhii nah
hogaa tere sivaa kisii kaa
kaunain me;N hai jo kuchh vuh hai tamaam teraa
GHAZAL
22 by Dagh, pp. 371-372:
((ajab apnaa ;haal
hotaa jo vi.saal-e yaar hotaa
kabhii jaan .sadqe hotii kabhii dil ni;saar hotaa
ko))ii fitnah taa qiyaamat
nah phir aashkaar hotaa
tire dil pah kaash :zaalim mujhe i;xtiyaar hotaa
yih mazah thaa dil-lagii
kaa kih baraabar aag lagtii
nah tujhe qaraar hotaa nah mujhe qaraar hotaa
tire va((de par sitam-gar
abhii aur .sabr karte
agar apnii zindagii kaa hame;N ((itibaar hotaa
tumhe;N naaz ho nah
kyuu;N kar kih liyaa hai daa;G kaa dil
yih raqam nah haath lagtii nah yih ifti;xaar hotaa
GHAZAL 23 by
Akbar Ilahabadi, pp. 396-397:
;xudaa ;haafi:z musalmaano;N
kaa akbar
mujhe to un kii ;xvush-;haalii se hai yaas
kahaa majnuu;N se yih
lail;aa kii maa;N ne
kih be;Taa tuu agar kar le em ai paas
to faura:n byaah duu;N
lail;aa ko tujh se
bilaa diqqat mai;N ban jaa))uu;N tirii saas
kahaa majnuu;N ne yih
achchhii sunaa))ii
kujaa ((aashiq kujaa kaalij kii bakvaas
dil apnaa ;xuun karne
ko huu;N maujuud
nahii;N man:zuur ma;Gz-e sar kaa aamaas
yahii ;Thahrii jo shar:t-e
va.sl-e lail;aa
to isti((faa miraa baa ;hasrat o yaas
GHAZAL 24 by
Iqbal, p. 425:
kabhii ai ;haqiiqat-e
munta:zar na:zar aa libaas-e majaaz me;N
kih hazaaro;N sijde ta;Rap rahe hai;N mirii jabiin-e niyaaz me;N
tuu bachaa bachaa ke
nah rakh use tiraa aa))iinah hai vuh aa))iinah
kih shikastah ho to ((aziiztar hai nigaah-e aa))iinah-saaz me;N
nah kahii;N jahaa;N
me;N amaa;N milii jo amaa;N milii to kahaa;N milii
mire jurm-e ;xaanah-;xaraab ko tire ((afv-e bandah-navaaz me;N
nah vuh ((ishq me;N
rahii;N garmiyaa;N nah vuh ;husn me;N rahii;N sho;xiyaa;N
nah vuh ;Gaznavii me;N ta;Rap rahii nah vuh ;xam hai zulf-e ayaaz
me;N
jo mai;N sar bah sijdah
huu))aa kabhii to zamii;N se aane lagii .sadaa
tiraa dil to hai .sanam aashnaa tujhe kyaa milegaa namaaz se