(1d) -- See the script bar at the bottom of the page for viewing choices. Material found only in the Urdu-script version is *in asterisks*; material found only in the Devanagari version is [in square brackets].



*to translation section (1d)* -- *back to text section (1c)*

*u990 cont'd* ghiisuu ko us vaqt ;Thakur kii baraat yaad aa))ii jis me;N biis saal pahle vuh gayaa thaa _ us da((vat me;N use jo serii na.siib hu))ii thii vuh us kii zindagii me;N ek yaadgaar vaaqi((ah thii _ aur aaj bhii us kii yaad taazah thii _ bolaa , " vuh bhoj nahii;N bhuultaa _ tab se phir us :tara;h kaa khaanaa aur bhar-pe;T nahii;N milaa _ la;Rkii vaalo;N ne sab ko puu;Riyaa;N khilaa))ii thii;N -- sab ko _ chho;Te ba;Re , sab ne puu;Riyaa;N khaa))ii;N , aur a.slii ghii kii _ cha;Tnii , raa))itah , tiin :tara;h ke suukhe saag _ ek rasedaar tarkaarii , dahii , cha;Tnii , mi;Thaa))ii _ ab kyaa bataa))uu;N kih us bhoj me;N kitnaa svaad milaa _ *u991* ko))ii rok nahii;N thii _ jo chiiz chaaho maa;Ngo _ aur jitnaa chaaho khaa))o _ logo;N ne aisaa khaayaa , aisaa khaayaa , kih kisii se paanii nah piyaa gayaa _ magar parosne vale hai;N kih saamne garm garm , gol gol , mahaktii hu))ii kacho;Riyaa;N ;Daale dete hai;N _ man((a karte hai;N kih nahii;N chaahi))e _ pattal ko haath se roke hu))e hai;N _ magar vuh hai;N kih di))e jaate hai;N _ aur jab sab ne mu;Nh dho liyaa to ek ek bii;Raa paan bhii milaa _ magar mujhe paan lene kii kahaa;N sudh thii _ kha;Raa nah jaataa thaa _ cha;T-pa;T jaa kar apne kambal par le;T gayaa _ aisaa daryaa-dil thaa vuh ;Thaakur _"

maadhav ne un takallufaat kaa mazah lete hu))e kahaa , "ab hame;N ko))ii aisaa bhoj khilaataa _"

" ab ko))ii kyaa khilaa))egaa , vuh jamaanaa duusraa thaa _ ab to sab ko kiphaayat suujhtii hai _ saadii me;N mat kharch karo _ karyaa-kram me;N mat kharch karo _ puuchho gariibo;N kaa maal ba;Tor ba;Tor kar kahaa;N rakhoge ! ba;Torne me;N to kamii nahii;N hai _ haa;N kharch me;N kiphaayat suujhtii hai _"

" tum ne ek biis puu;Riyaa;N khaa))ii ho;Ngii ! "

" biis se jiyaadah khaa))ii thii;N _"

" mai;N pachaas khaa jaataa _"

" pachaas se kam mai;N ne bhii nah khaa))ii ho;Ngii _ achchaa pa;T;Thaa thaa _ tuu us kaa aadhaa bhii nahii;N hai _"

khaa kar dono;N ne paanii piyaa aur vuhii;N alaa))o ke saamne apnii dhotiyaa;N o;Rh kar , paa))o;N pe;T me;N ;Daale so rahe , jaise do ba;Re ba;Re azhdar ge;N;Dliyaa;N maare pa;Re ho;N _

aur budhiyaa abhii tak karaah rahii thii _

*to translation section (1d)* -- *on to text section (2a)*



-- "The Shroud" index page -- *Platts Dictionary Online* -- FWP's main page --