(2a) -- See the script bar at the bottom of the page for viewing choices. Material found only in the Urdu-script version is *in asterisks*; material found only in the Devanagari version is [in square brackets].



*to translation section (2a)* -- *back to text section (1d)*

*u991 cont'd* .sub;h ko maadhav ne ko;Thrii me;N jaa kar dekhaa to us kii biivii ;Tha;N;Dii ho ga))ii thii _ us ke mu;Nh par makkhiyaa;N *note1* bhanak rahii thii;N _ patharaa))ii hu))ii aa;Nkhe;N uupar ;Ta;Ngii hu))ii thii;N _ saaraa jism ;xaak me;N lat-pat thaa _ us ke pe;T me;N bachchah mar gayaa thaa _

maadhav bhaagaa hu))aa ghiisuu ke paas aayaa _ phir dono;N zor zor se haa))e haa))e karne aur chhaatii pii;Tne lage _ *u992* pa;Ros vaalo;N ne yih aah-o-zaarii sunii to dau;Re hu))e aa))e aur rasm-e qadiim ke mu:taabiq ;Gam-zado;N kii tashaffii karne lage _

magar ziyaadah rone-dhone kaa mauqa((h nah thaa _ kafan kii aur lak;Rii kii fikr karnii thii _ ghar me;N to paisah isii :tara;h ;Gaa))ib thaa jaise chiil ke gho;Nsle me;N maa;Ns _

baap be;Te rote hu))e gaa))o;N ke zamiindaar ke paas ga))e _ vuh un dono;N kii .suurat se nafrat karte the _ ka))ii baar unhe;N apne haatho;N pii;T chuke the , chorii kii ((illat me;N , va((dah par kaam par nah aane kii ((illat me;N _ puuchhaa , " kyaa hai be ghisuvaa _ rotaa kyuu;N hai _ ab to terii .suurat hii nahii;N na:zar aatii _ ab ma((luum hotaa hai tum is gaa))o;N me;N rahnaa nahii;N chaahte _"

ghisuu ne zamiin par sar rakh kar aa;Nkho;N me;N aa;Nsuu bhare hu))e kahaa , " sarkaar ba;Rii bipat me;N huu;N _ maadhav kii ghar-vaalii rat gujar ga))ii _ din bhar ta;Raptii rahii sarkaar _ aadhii raat tak ham dono;N us ke sirhaane bai;The rahe _ davaa daaruu jo kuchh ho sakaa sab kiyaa _ magar vuh hame;N dagaa de ga))ii _ ab ko))ii ek ro;Tii dene vaalaa nahii;N rahaa _ maalik , tabaah ho ga))e _ ghar uja;R gayaa _ aap kaa gulaam huu;N _ ab aap ke sivaa us kii mi;T;Tii kaun paar lagaa))egaa _ hamaare haath me;N to jo kuchh thaa vuh sab davaa daaruu me;N u;Th gayaa _ sarkaar hii kii dayaa hogii to us kii mi;T;Tii u;Thegii _ aap ke sivaa aur kis ke dvaar par jaa))u;N _ "

*to translation section (2a)* -- *on to text section (2b)*


*note1* -- I insert makkhiyaa;N to correct an obvious error of omission in the original Urdu text.


-- "The Shroud" index page -- *Platts Dictionary Online* -- FWP's main page --