(3a) -- See the script bar at the bottom of the page for viewing choices. Material found only in the Urdu-script version is *in asterisks*; material found only in the Devanagari version is [in square brackets].



*to translation section (3a)* -- *back to text section (2b)*

*u993 cont'd* baazaar me;N pahu;Nch kar ghiisuu bolaa , " lak;Rii to use jalaane bhar ko mil ga))ii hai , kyuu;N maadhav _ "

maadhav bolaa , " haa;N lak;Rii to bahut hai _ ab kaphan chaahi))e _"

" to ko))ii halkaa-saa kaphan le le;N _"

" haa;N aur kyaa _ laash u;Thte u;Thte raat ho jaa))egii _ raat ko kaphan kaun dekhtaa hai _"

" kaisaa buraa rivaaj hai kih jise jiite-jii tan ;Dhaa;Nkne ko chiith;Raa bhii nah mile use marne par nayaa kaphan chaahi))e _"

" kaphan laas ke saath jal hii to jaataa hai _"

" aur kyaa rakhaa rahtaa hai _ yihii paa;Nch ruupayah milte to kuchh davaa daaruu karte _"

dono;N ek duusre ke dil kaa maajraa ma((navii :taur par samajh rahe the _ baazaar me;N idhar udhar ghuumte rahe _ [kabhii is bajaaj kii duukaan par ga))e kabhii us kii duukaan par _ :tara;h :tara;h ke kap;Re , reshmii aur suutii , dekhe , magar kuchh ja;Nchtaa nahii;N _] yahaa;N tak kih shaam ho ga))ii _ dono;N ittifaaq se yaa ((amda:n ek sharaab-;xaane ke saamne aa pahu;Nche _ aur goyaa kisii :tay-shudah fai.sle ke mu:taabiq andar ga))e _ vahaa;N ;zaraa der tak dono;N ta;zab;zub kii ;haalat me;N kha;Re rahe _ [phir ghiisuu ne gaddii ke saamne jaa kar kahaa , " saahuu-jii ek botal hame;N bhii denaa _ "] *phir ghiisuu ne ek botal sharaab lii *note1*, kuchh gazak _* _ [is ke ba((d kuchh chi;xaunah aayaa, talii hu))ii machhlii aa))ii] _ aur dono;N baraamde me;N bai;Th kar [shaantiipuurvak] piine lage _

*to translation section (3a)* -- *on to text section (3b)*


*note1* -- I read lii instead of pii as is in the text.

-- "The Shroud" index page -- *Platts Dictionary Online* -- FWP's main page --