(3b) -- See the script bar at the bottom of the page for viewing choices. Material found only in the Urdu-script version is *in asterisks*; material found only in the Devanagari version is [in square brackets].



*to translation section (3b)* -- *back to text section (3a)*

*u993 cont'd* ka))ii kujjiyaa;N paiham piine ke ba((d dono;N suruur me;N aa ga))e _

ghiisuu bolaa , " kaphan lagaane se kyaa miltaa _ aakhir jal hii to jaataa _ kuchh bahuu ke saath to nah jaataa _"

maadhav aasmaan ki :taraf dekh kar bolaa , goyaa farishto;N ko apnii ma((.suumiyat kaa yaqiin dilaa rahaa ho , " duniyaa kaa dastuur hai _ yihii log baamhano;N ko hajaaro;N rupa))e kyuu;N de dete hai;N _ kaun dekhtaa hai parlok me;N miltaa *u994* hai yaa nahii;N _"

" ba;Re aadmiyo;N ke paas dhan hai, phuu;Nke;N _ hamaare paas phuu;Nkne ko kyaa hai _ "

" lekin logo;N ko javaab kyaa doge ! log puuche;Nge nahii;N , kaphan kahaa;N hai ! "

ghiisuu ha;Nsaa _ " kah de;Nge ruupa))e kamar se khisak ga))e _ bahut ;Dhuu;N;Daa , mile nahii;N _ [logo;N ko vishvaas nah aa))egaa , lekin phir vuhii ruupayah de;Nge _] "

maadhav bhii ha;Nsaa , is ;Gair-mutavaqqu(( ;xvush-na.siibii par , *qudrat ko is :tara;h shikast dene par _* bolaa , " ba;Rii achchhii thii , bichaarii _ marii bhii to ;xuub khilaa pilaa kar _"

aadhii botal se ziyaadah ;xatm ho ga))ii _ ghiisuu ne do ser puu;Riyaa;N mangvaa))ii;N , gosht aur saalan _ aur cha;Tpa;T kalejiyaa;N aur talii hu))ii machhliyaa;N _ sharaab-;xaane ke saamne hii duukaan thii _ maadhav lapak kar do pattalo;N me;N saarii chiize;N le aayaa _ puure ;De;Rh ruupa))e ;xarch ho ga))e _ .sirf tho;Re-se paise bach rahe _

*to translation section (3b)* -- *on to text section (3c)*



-- "The Shroud" index page -- *Platts Dictionary Online* -- FWP's main page --