A close comparison

See the 'script bar' at the bottom of the page for viewing choices.

     
taraanah-e hindii
 
taraanah-e millii
     
1h) ... 1m)
saare jahaa;N se achchaa hinduusitaa;N hamaaraa
ham bulbule;N hai;N us kii vuh gulsitaa;N hamaaraa
 
chiin-o-((arab hamaaraa hinduusitaa;N hamaaraa
muslim hai;N ham va:tan hai saaraa jahaa;N hamaaraa
     
2h)   2m)
;Gurbat me;N ho;N agar ham rahtaa hai dil va:tan me;N
samjho vuhii;N hame;N bhii dil ho jahaa;N hamaaraa
 
tau;hiid kii amaanat siino;N me;N hai hamaare
aasaa;N nahii;N mi;Taanaa naam-o-nishaa;N hamaaraa
     
3h)   3m)
parbat vuh sab se uu;Nchaa hamsaayah aasmaa;N kaa
vuh santarii hamaaraa vuh paasbaa;N hamaaraa
 
duniya ke but-kado;N me;N pahlaa vuh ghar ;xudaa kaa
ham us ke paasbaa;N hai;N vuh paasbaa;N hamaaraa
     
4h)   4m)
godii me;N kheltii hai;N us kii hazaaro;N nadiyaa;N
gulshan hai jin ke dam se rashk-e janaa;N hamaaraa
 
te;Go;N ke saa))e me;N ham pal kar javaa;N hu))e hai;N
;xanjar ;hilaal kaa hai qaumii nishaa;N hamaaraa
     
5h)   5m)
ay aab-ruud-e gangaa vuh din hai;N yaad tujh ko
utaraa tire kinaare jab kaaravaa;N hamaaraa
 
ma;Grib kii vaadiyo;N me;N guu;Njii a;zaa;N hamaarii
thamtaa nah thaa kisii se sail-e ravaa;N hamaaraa
     
6h)   6m)
ma;zhab nahii;N sikhaataa aapas me;N bair rakhnaa
hindii hai;N ham va:tan hai hinduusitaa;N hamaaraa
 
baa:til se dabne vaale ay aasmaa;N nahii;N ham
sau baar kar chukaa hai tuu imti;haa;N hamaaraa
     
7h)   7m)
yuunaan-o-mi.sr-o-romaa sab mi;T ga))e jahaa;N se
ab tak magar hai baaqii naam-o-nishaa;N hamaaraa
 
ay gulsitaan-e andluus vuh din hai;N yaad tujh ko
thaa terii ;Daaliyo;N me;N jab aashiyaa;N hamaaraa
     
8h)   8m)
kuchh baat hai kih hastii mi;Ttii nahii;N hamaarii
.sadiyo;N rahaa hai dushman daur-e zamaa;N hamaaraa
 
ay mauj-e dajlah tuu bhii pahchaantii hai ham ko
ab tak hai teraa daryaa afsaanah-;xvaa;N hamaaraa
     
9h)   9m)
iqbaal ko))ii ma;hram apnaa nahii;N jahaa;N me;N
ma((luum kyaa kisii ko dard-e nihaa;N hamaaraa
 
ay ar.z-e paak terii ;harmat pah ka;T mare hai;N
hai ;xuu;N tirii rago;N me;N ab tak ravaa;N hamaaraa
     
    10m)
   
saalar-e kaaravaa;N hai miir-e ;hijaaz apnaa
us naam se hai baaqii aaraam-e jaa;N hamaaraa
     
    11m)
   
iqbaal kaa taraanah baa;Ng-e daraa hai goyaa
hotaa hai jaadah-pemaa phir kaaravaa;N hamaaraa
     
     

Iqbal has obviously composed the second of these two ghazals to resonate with the first. They are in the same meter, and they both have the same rhyme scheme (refrain hamaaraa , rhyme-syllable aa;N ).

A number of verses recycle the same rhyme-words too:

paasbaa;N from (3h) is reused in (3m)
kaaravaa;N from (5h) is reused in (11m)
naam-o-nishaa;N from (7h) is reused in (2m)

But the similarities go much further.

we are nightingales in a garden in (1h), we are birds in a garden in (7m)
we have door-guards in both (3h) and (3m)
the Ganges is addressed in (5h), the Tigris in (8m)
both (5h) and (7m) address a natural presence and say vuh din hai;N yaad tujh ko
both (6h) and (1m) define for us a va:tan
both (7h)-(8h) and (2m) make it clear that we're hard to erase

And there are also a few striking oppositions, especially at the beginning and end. The opening-verse (1h) claims that our homeland is better than the whole world, while the opening-verse (1m) claims that our homeland is the whole world. And the closing-verse (9h) speaks of solitude and dejection, while (10m) and the closing-verse (11m) claim inclusion in a collective moving caravan led, reassuringly, by the Prophet himself.

In general, 'Tarannah-e Hindi' exultantly contrasts India with dead empires, and makes it clear that India is the beautiful center of our loyalties-- an India that has religious tolerance as a guiding moral principle. By contrast, 'Taranna-e Milli' roams the whole world: Central Asia, Arabia, the West, Andalusia, the Tigris River. It directs our attention away from any one geographical place, and refocuses it on a religious community, a millat , moving through history, through many times and places, with a special monotheistic mandate more precious than life itself.


-- "Two Taranahs" index page -- *Platts Dictionary Online* -- FWP's main page --