See the script bar at the bottom of the page for viewing choices.



*back to text section (6)*

[*13* cont'd] is sikh paagal ke kes chhidre ho ke bahut mu;xta.sar rah ga))e the _ chuu;Nkih bahut kam nahaataa thaa is li))e ;Daa;Rhii aur sar ke baal aapas me;N jam ga))e the _ jin ke baa((i;s us kii shakl ba;Rii bhayaanak ho ga))ii thii _ magar aadmii be-.zarar thaa _ pandrah baraso;N me;N us ne kabhii kisii se jhag;Raa fasaad nahii;N kiyaa thaa _ paagal-;xaane ke jo puraane mulaazim the vuh us ke muta((lliq itnaa jaante the kih ;Tobah ;Tek si;Ngh me;N us kii ka))ii zamiine;N thii;N _ achchhaa khaataa piitaa zamiin-daar thaa kih achaanak dimaa;G ula;T gayaa _ us ke rishtah-daar lohe kii mo;Tii mo;Tii zanjiiro;N [*14*] me;N use baa;Ndh kar laa))e aur paagal-;xaane me;N daa;xil karaa ga))e _

mahiine me;N ek baar mulaaqaat ke li))e yih log aate the aur us kii ;xair ;xairiyat daryaaft kar ke chale jaate the _ ek muddat tak yih silsilah jaarii rahaa _ par jab paakistaan , hindustaan kii ga;Rba;R shuruu(( hu))ii to un kaa aanaa band ho gayaa _

us kaa naam bishan si;Ngh thaa magar sab use ;Tobah ;Tek si;Ngh kahte the _ us ko qa:ta:n ma((luum nahii;N thaa kih din kaun saa hai , mahiinah kaun saa hai , yaa kitne saal biit chuke hai;N _ lekin har mahiine jab us ke ((aziiz-o-aqaarib us se milne ke li))e aate the to use apne aap pataa chal jaataa thaa _ chunaa;Nchih vuh daf((adaar se kahtaa kih us kii mulaaqaat aa rahii hai _ us din vuh achchhii :tara;h nahaataa , badan par ;xuub .saabun ghistaa aur sar me;N tel lagaa kar ka;Nghaa kartaa , apne kap;Re jo vuh kabhii isti((maal nahii;N kartaa thaa nikalvaa ke pahantaa aur yuu;N saj ban kar milne vaalo;N ke paas jaataa _ vuh us se kuchh puuchhte to vuh ;xaamosh rahtaa yaa kabhii kabhaar " uupa;R dii gu;R gu;R dii enaks dii be dhyaanaa dii muu;Ng dii daal aaf dii laal;Ten " kah detaa _

*to translation section (7)* -- *on to text section (8)*



-- "Toba Tek Singh" index page -- *Platts Dictionary Online* -- FWP's main page --