See the script bar at the bottom of the page for viewing choices.



*back to text section (10)*

[*17* cont'd] bishan si;Ngh ;xaamosh rahaa _ fa.zal diin ne kahnaa shuruu(( kiyaa _ " u;Nho;N ne mujh se kahaa thaa kih tumhaarii ;xair ;xairiyat puuchhtaa rahuu;N --- ab mai;N ne sunaa hai kih tum hinduustaan jaa rahe ho --- bhaa))ii balbesar si;Ngh aur bhaa))ii vadhaavaa si;Ngh se meraa salaam kahnaa --- aur bahn amrit kaur se bhii . . . . bhaa))ii balbesar se kahnaa _ fa.zl diin raa.zii ;xvushii hai --- vuh bhuurii bhai;Nse;N jo vuh chho;R ga))e the _ un me;N se ek ne ka;T;Taa diyaa hai --- duusrii ke ka;T;Tii hu))ii thii par vuh chhah din kii ho ke mar ga))ii . . . . aur . . . . mere laa))iq jo ;xidmat ho , kahnaa , mai;N har vaqt taiyaar huu;N . . . . aur yih tumhaare li))e tho;Re se maro;N;De laayaa huu;N " _

bishan si;Ngh ne maro;N;Do;N kii po;Tlii le kar paas kha;Re sipaahii ke ;havaale kar dii aur fa.zl diin se puuchhaa _ ";Tobah ;Tek si;Ngh kahaa;N hai " _

[*18*] fa.zal diin ne qadre ;hairat se kahaa _ " kahaa;N hai --- vuhii;N hai jahaa;N thaa " _

bishan si;Ngh ne phir puuchhaa _ " paakistaan me;N yaa hinduustaan me;N ? "

" hinduustaan me;N --- nahii;N nahii;N paakistaan me;N " _ fa.zal diin bokhlaa saa gayaa _

bishan si;Ngh ba;Rba;Raataa hu))aa chalaa gayaa _ " uupa;R dii gu;R gu;R dii enaks dii be dhyaanaa dii mu;Ng dii daal aaf dii aaf dii paakistaan ai;N;D hinduustaan aaf dii duur fa;Te mu;Nh ! "

*to translation section (11)* -- *on to text section (12)*



-- "Toba Tek Singh" index page -- *Platts Dictionary Online* -- FWP's main page --