See the script bar at the bottom of the page for viewing choices.



*back to text section (13)*

[*20* cont'd] use bahut samjhaayaa gayaa kih dekho ab ;Tobah ;Tek si;Ngh hinduustaan me;N chalaa gayaa hai --- agar nahii;N gayaa to use faura:n vahaa;N bhej diyaa jaa))egaa _ magar vuh nah maanaa _ jab us ko zabardastii duusrii :taraf le jaane kii koshish kii ga))ii to vuh darmiyaan me;N ek jagah is andaaz me;N apni suujii hu))ii ;Taa;Ngo;N par kha;Raa ho gayaa jaise ab use ko))ii :taaqat vahaa;N se nahii;N hilaa sakegii _

aadmii chuu;Nkih be-.zarar thaa is li))e us se maziid zabardastii nah kii ga))ii , us ko vuhii;N kha;Raa rahne diyaa gayaa aur tabaadile kaa baaqii kaam hotaa rahaa _

suuraj nikalne se pahle saakat-o-.saamat bishan si;Ngh ke ;halq se ek falak-shigaaf chii;x nikalii --- idhar udhar se ka))ii afsar dau;Re aa))e aur dekhaa kih vuh aadmii jo pandrah baras tak din raat apnii ;Taa;Ngo;N par kha;Raa rahaa , au;Ndhe mu;Nh le;Taa hai _ udhar ;xaardaar taaro;N ke piichhe hinduustaan thaa --- idhar vaise hii taaro;N ke piichhe paakistaan _ darmiyaan me;N zamiin ke us ;Tuk;Re par jis kaa ko))ii naam nahii;N thaa _ ;Tobah ;Tek si;Ngh pa;Raa thaa _

*to translation section (14)*



-- "Toba Tek Singh" index page -- *Platts Dictionary Online* -- FWP's main page --