(1c) -- See the script bar at the bottom of the page for viewing choices. Material found only in the Urdu-script version is *in asterisks*; material found only in the Devanagari version is [in square brackets].



*to translation section (1c)* -- *back to text section (1b)*

*u990 cont'd* jis samaaj me;N raat din ma;hnat karne vaalo;N kii ;haalat un kii ;haalat se kuchh bahut achchhii nah thii , aur kisaano;N ke muqaabile me;N vuh log jo kisaano;N kii kamzoriyo;N se faa))idah u;Thaanaa jaante the , kahii;N ziyaadah faari;G ul-baal the , vahaa;N is qism kii ;zahniyat kaa paidaa ho jaanaa ko))ii ta((ajjub kii baat nah thii _ ham to kahe;Nge ghiisuu kisaano;N ke muqaabile me;N ziyaadah baariik-biin thaa _ aur kisaano;N kii tahii-dimaa;G jam((iyat me;N shaamil hone ke badle shaa:tiro;N kii fitnah-pardaaz jamaa((at me;N shaamil ho gayaa thaa _ haa;N us me;N yih .salaa;hiyat nah thii kih shaa:tiro;N ke aa))iin-o-aadaab kii paabandii bhii kartaa _ isli))e jahaa;N us kii jamaa((at ke aur log gaa;Nvo;N ke sar;Ganah aur mukhiyaa bane hu))e the , us par saaraa gaa))o;N angusht-numaa))ii kartaa thaa _ phir bhii use yih taskiin to thii hii kih agar vuh ;xastah-;haal hai to kam se kam use kisaano;N kii sii jigar-to;R ma;hnat to nahii;N karnii pa;Rtii _ aur us kii saadagii aur be-zabaanii se duusre be-jaa faa))idah to nahii;N u;Thaate _

dono;N aaluu nikaal nikaal kar jalte jalte khaane lage _ kal se kuchh nahii;N khaayaa thaa _ itnaa .sabr nah thaa kih unhe;N ;Tha;N;Daa ho jaane de;N _ ka))ii baar dono;N kii zabaane;N jal ga))ii;N _ chhil jaane par aaluu kaa beruunii ;hi.s.sah to bahut ziyaadah garm nah ma((luum hotaa _ lekin daa;Nto;N ke tale pa;Rte hii andar kaa ;hi.s.sah zabaan aur ;xalq aur taaluu ko jalaa detaa thaa _ aur us a;Ngaare ko mu;Nh me;N rakhne se ziyaadah ;xairiyat isii me;N thii kih vuh andar pahu;Nch jaa))e _ vahaa;N use ;Tha;N;Daa karne ke li))e kaafii saamaan the _ isli))e dono;N jald jald nigal jaate _ ;haalaa;Nkih is koshish me;N un kii aa;Nkho;N se aa;Nsuu nikal aate _

*to translation section (1c)* -- *on to text section (1d)*



-- "The Shroud" index page -- *Platts Dictionary Online* -- FWP's main page --