(3d) -- See the script bar at the bottom of the page for viewing choices. Material found only in the Urdu-script version is *in asterisks*; material found only in the Devanagari version is [in square brackets].



*to translation section (3d)* -- *back to text section (3c)*

*u995 cont'd* jyuu;N jyuu;N andheraa ba;Rhtaa thaa aur sitaaro;N kii chamak tez hotii thii , mai-;xaanah kii raunaq bhii ba;Rhtii jaatii thii _ ko))ii gaataa thaa , ko))ii bahaktaa thaa _ ko))ii apne rafiiq ke gale lip;Taa jaataa thaa , ko))ii apne dost ke mu;Nh me;N saa;Gar lagaa))e detaa thaa _ vahaa;N kii fi.zaa me;N suruur thaa _ havaa me;N nashah _ kitne to chulluu me;N ulluu ho jaate hai;N _ *yahaa;N aate the .sirf ;xvud-faraamoshii kaa mazah lene ke li))e _* sharaab se ziyaadah yahaa;N kii havaa se masruur hote the _ ziist kii balaa yahaa;N khe;Nch laatii thii _ aur kuchh der ke li))e vuh bhuul jaate the kih vuh zindah hai;N , yaa murdah hai;N , yaa zindah dar-gor hai;N _

aur yih dono;N baap be;Te ab bhii maze le le kar chuskiyaa;N le rahe the _ sab kii nigaahe;N un kii :taraf jamii hu))ii thii;N _ kitne ;xvush-na.siib hai;N dono;N _ puurii botal biich me;N hai _

khaane se faari;G ho kar maadhav ne bachii hu))ii puu;Riyo;N kaa pattal u;Thaa kar ek bhikaarii ko de diyaa jo kha;Raa un kii :taraf garsanah nigaaho;N se dekh rahaa thaa _ aur dene ke ;Garuur aur musarrat aur valvalah kaa apnii zindagii me;N pahlii baar a;hsaas kiyaa _

ghiisuu ne kahaa , " le jaa _ khuub khaa aur asiirbaad de _ jis kii kamaa))ii hai vuh to mar ga))ii , magar teraa asiirbaad use jaruur pahu;Nch jaa))egaa _ ro))e;N ro))e;N se asiirbaad de _ ba;Rii gaa;Rhii kamaa))ii ke paise hai;N _"

maadhav ne phir aasmaan kii :taraf dekh kar kahaa , " baiku;N;Th me;N jaa))egii daadaa _ baiku;N;Th kii raanii banegii _"

*to translation section (3d)* -- *on to text section (3e)*


-- "The Shroud" index page -- *Platts Dictionary Online* -- FWP's main page --