(3c) -- See the script bar at the bottom of the page for viewing choices. Material found only in the Urdu-script version is *in asterisks*; material found only in the Devanagari version is [in square brackets].



*to translation section (3c)* -- *back to text section (3b)*

*u994 cont'd* dono;N us vaqt is shaan se bai;The hu))e puu;Riyaa;N khaa rahe the jaise ja;Ngal me;N ko))ii sher apnaa shikaar u;Raa rahaa ho _ nah javaab-dihii kaa ;xauf thaa , nah badnaamii kii fikr _ .zu((f ke un muraa;hil ko unho;Nne bahut pahle :tay kar liyaa thaa _ ghiisuu falsafiyaanah andaaz se bolaa , " hamaarii aatmaa prasann ho rahii hai to kyaa use punn nah hogaa ? "

maadhav ne farq-e ((aqiidat jhukaa kar ta.sdiiq kii _ " jaruur se jaruur hogaa _ bhagvaan , tum antarjaamii ( ((aliim ) ho _ use baiku;N;Th le jaanaa _ ham dono;N hride se use du((aa de rahe hai;N _ aaj jo bhojan milaa vuh kabhii ((umr bhar nah milaa thaa _"

ek lam;hah ke ba((d maadhav ke dil me;N ek tashviish paidaa hu))ii _ bolaa , " kyuu;N daadaa , ham log bhii to vahaa;N ek nah ek din jaa))e;Nge hii _"

ghiisuu ne is :tiflaanah savaal kaa javaab nah diyaa _ *maadhav kii :taraf pur-malaamat andaaz se dekhaa _* [vuh parlok kii baate;N soch kar is aanand me;N baadhaa nah ;Daalnaa chaahtaa thaa _]

" jo vahaa;N ham logo;N se vuh puuche kih tum ne hame;N kaphan kyuu;N nahii;N diyaa to kyaa kahoge ? "

" kahe;Nge tumhaaraa sar _"

" puuchegii to jaruur _"

*u995* " tuu kaise jaantaa hai use kaphan nah milegaa ? tuu mujhe aisaa gadhaa samajhtaa hai ! mai;N saa;Th saal duniyaa me;N kyaa ghaas khodtaa rahaa huu;N _ us ko kaphan milegaa [aur bahut achchhaa milegaa _] *us se bahut achchaa milegaa jo ham dete _* "

maadhav ko yaqiin nah aayaa _ bolaa , " kaun degaa ? ruupa))e to tum ne cha;T kar di))e _"

ghiisuu tez ho gayaa _ " mai;N kahtaa huu;N use kaphan milegaa _ tuu maantaa kyuu;N nahii;N ?"

" kaun degaa , bataate kyuu;N nahii;N ? [vuh to mujh se puuchhegii _ us kii maa;Ng me;N to sinduur mai;N ne ;Daalaa thaa] _"

" vuhii log de;Nge jinho;N ne ab kii diyaa _ haa;N vuh ruupa))e hamaare haath nah aa))e;Nge _ *aur agar kisii :tara;h aa jaa))e;N to phir ham isii :tara;h yahaa;N bai;The piye;Nge _ aur kaphan tiisrii baar milegaa _* "

*to translation section (3c)* -- *on to text section (3d)*


-- "The Shroud" index page -- *Platts Dictionary Online* -- FWP's main page --