nafas nah anjuman-e aarzuu se baahar
khe;Nch
agar sharaab nahii;N inti:zaar-e saa;Gar khe;Nch
kamaal-e garmii-e sa((ii-e talaash-e
diid nah puuchh
bah rang-e ;xaar mire aa))ine se jauhar khe;Nch
tujhe bahaanah-e raa;hat hai inti.zaar
ay dil
kiyaa hai kis ne ishaarah kih naaz-e bistar khe;Nch
tirii :taraf hai bah ;hasrat na:zaarah-e
nargis
bah korii-e dil-o-chashm-e raqiib saa;Gar khe;Nch
bah niim-;Gamzah adaa kar ;haq-e vadii((at-e
naaz
niyaam-e pardah-e za;xm-e jigar se ;xanjar khe;Nch
mire qada;h me;N hai .sahbaa-e aatish-e
pinhaa;N
bah ruu-e sufrah kabaab-e dil-e samandar khe;Nch