Tughluqabad

Qutb Minar complex, from the Berger Collection

 

Ghazal 112

10 divan verses (out of 10); rhyming elements: aar bhii nahii;N
composed 1826; Arshi #100

{112,1}

diivaanagii se dosh pah zunnaar bhii nahii;N
ya((nii hamaare jeb me;N ik taar bhii nahii;N

{112,2}

dil ko niyaaz-e ;hasrat-e diidaar kar chuke
dekhaa to ham me;N :taaqat-e diidaar bhii nahii;N

{112,3}

milnaa tiraa agar nahii;N aasaa;N to sahl hai
dushvaar to yihii hai kih dushvaar bhii nahii;N

{112,4}

be-((ishq ((umr ka;T nahii;N saktii hai aur yaa;N
:taaqat bah qadr-e la;z;zat-e aazaar bhii nahii;N

{112,5}

shoriidagii ke haath se hai sar vabaal-e dosh
.sa;hraa me;N ai ;xudaa ko))ii diivaar bhii nahii;N

{112,6}

gunjaa))ish-e ((adaavat-e a;Gyaar yak :taraf
yaa;N dil me;N .zu((f se havas-e yaar bhii nahii;N

{112,7}

;Dar naalah'haa-e zaar se mere ;xudaa ko maan
aa;xir navaa-e mur;G-e giriftaar bhii nahii;N

{112,8}

dil me;N hai yaar kii .saf-e mizhgaa;N se ruu-kashii
;haalaa;Nkih :taaqat-e ;xalish-e ;xaar bhii nahii;N

{112,9}

is saadagii pah kaun nah mar jaa))e ai ;xudaa
la;Rte hai;N aur haath me;N talvaar bhii nahii;N

{112,10}

dekhaa asad ko ;xalvat-o-jalvat me;N baar-haa
diivaanah gar nahii;N hai to hushyaar bhii nahii;N