ghazal
{292}

 
 

*{292,1}

kahyo qaa.sid jo vuh puuchhe hame;N kyaa karte hai;N
jaan-o-iimaan-o-mu;habbat ko du((aa karte hai;N

 

*{292,6}

ru;x.sat-e junbish-e lab ((ishq kii ;hairat se nahii;N
muddate;N gu;zre;N kih ham chup hii rahaa karte hai;N

*{292,7}

tuu parii shiishe se naazuk hai nah kar da((v;aa-e mihr
dil hai;N patthar ke u;Nho;N ke jo vafaa karte hai;N

 

*{292,9}

fur.sat-e ;xvaab nahii;N ;zikr-e butaa;N me;N ham ko
raat din raam-kahaanii sii kahaa karte hai;N

 

*{292,11}

yih zamaanah nahii;N aisaa kih ko))ii ziist kare
chaahte hai;N jo buraa apnaa bhalaa karte hai;N