ghazal
{377}

 
 

*{377,1}

falak ne gar kiyaa ru;x.sat mujhe sair-e bayaabaa;N ko
nikaalaa sar se mere jaa))e muu ;xaar-e mu;Giilaa;N ko

 

*{377,15}

nahii;N reg-e ravaa;N majnuu;N ke dil kii be-qaaraarii ne
kiyaa hai mu.z:tarib har ;zarrah-e gard-e bayaabaa;N ko

 

*{377,19}

vuh tu;xm-e so;xtah the ham kih sar-sabzii nah kii ;haa.sil
milaayaa ;xaak me;N daanah nama:t ;hasrat se dihqaa;N ko

*{377,20}

hu))aa huu;N ;Gunchah-e pazhmurdah aa;xir fa.sl kaa tujh bin
nah de bar-baad ;hasrat-kushtah-e sar-dar-garebaa;N ko