ghazal
{885}

 
 

*{885,1}

kartaa nahii;N qu.suur hamaare halaak me;N
yaa rab yih aasmaan bhii mil jaa))e ;xaak me;N

{885,2}

garmii nahii;N hai ham se vuh ai rashk-e aaftaab
ab aa gayaa hai farq bahut us tapaak me;N

{885,3}

us ;Dhang se hilaa kih bajaa dil nahii;N rahe
us gosh ke guhar se dam aa))e hai;N naak me;N

*{885,4}

ab ke junuu;N me;N faa.silah shaayad nah kuchh rahe
daaman ke chaak aur garebaa;N ke chaak me;N

*{885,5}

kahye la:taafat us tan-e naazuk kii miir kyaa
shaayad yih lu:tf hogaa kisuu jaan-e paak me;N