jis jaa nasiim shaanah-kash-e zulf-e
yaar hai
naafah dimaa;G-e aahuu-e dasht-e tataar hai
kis kaa suraa;G jalvah hai ;hairat ko
ay ;xudaa
aa))iinah farsh-e shash-jihat-e inti:zaar hai
hai ;zarrah ;zarrah tangii-e jaa se
;Gubaar-e shauq
gar daam yih hai vus((at-e .sa;hraa shikaar hai
dil mudda((ii-o-diidah banaa mudda((;aa
((aliih
na:z:zaare kaa muqaddamah phir ruubkaar hai
chhi;Rke hai shabnam aa))inah-e barg-e
gul par aab
ay ((andaliib vaqt-e vidaa((-e bahaar hai
pach aa pa;Rii hai va((dah-e dil-daar
kii mujhe
vuh aa))e yaa nah aa))e pah yaa;N inti:zaar hai
be-pardah suu-e vaadii-e majnuu;N guzar
nah kar
har ;zarre ke naqaab me;N dil be-qaraar hai
ay ((andaliib yak kaf-e ;xas bahr-e
aashiyaa;N
:tuufaan-e aamad-aamad-e fa.sl-e bahaar hai
dil mat ga;Nvaa ;xabar nah sahii sair
hii sahii
ay be-dimaa;G aa))inah tim;saal-daar hai
;Gaflat kafiil-e ((umr-o-asad .zaamin-e
nashaa:t
ay marg-e naagahaa;N tujhe kyaa inti:zaar hai