ghazal
{320}

 
 

*{320,1}

dekhe;N to terii kab tak yih kaj-adaa))iyaa;N hai;N
ab ham ne bhii kisuu se aa;Nkhe;N la;Raa))iyaa;N hai;N

*{320,2}

;Tuk sun kih sau baras kii naamuus-e ;xaamushii kho
do chaar dil kii baate;N ab mu;Nh par aa))iyaa;N hai;N

{320,3}

ham ve hai;N ;xuu;N-giriftah :zaalim ji;Nho;N ne terii
abruu kii junbish uupar talvaare;N khaa))iyaa;N hai;N

*{320,4}

aa))iinah ho kih .suurat ma((nii se hai labaalab
raaz-e nihaan ;haq me;N kyaa ;xvud-numaa))iyaa;N hai;N

{320,5}

kyaa chahrah tujh se hogaa ai aaftaab-:tal((at
mu;Nh chaand kaa jo ham ne dekhaa to jhaa))iyaa;N hai;N

{320,6}

ka((be me;N miir ham par yaa sar-giraa;N hai zaahid
yaa but-kade me;N ham ne dhuule;N lagaa((iyaa;N hai;N