ghazal
{388}

 
 

*{388,1}

vaisaa kahaa;N hai ham se jaisaa kih aage thaa tuu
auro;N se mil ke pyaare kuchh aur ho gayaa tuu

 

*{388,7}

dil kyuu;N-kih raast aave da((vaa-e aashnaa))ii
daryaa-e ;husn vuh mah kishtii bah kaf gadaa tuu

 

*{388,10}

mu;Nh karye jis :taraf ko suu hii tirii :taraf hai
par kuchh nahii;N hai paidaa kiidhar hai ai ;xudaa tuu

 

*{388,14}

kah'h saa;Njh ke mu))e ko ai miir ro))e;N kab tak
jaise chiraa;G-e muflis ik dam me;N jal bujhaa tuu