ghazal
{847}

 
 

*{847,1}

kyaa ((ishq-e ;xaanah-soz ke dil me;N chhupii hai aag
ik saare tan-badan me;N mire phuk rahii hai aag

 

*{847,4}

jal jal ke sab ((imaarat-e dil ;xaak ho ga))ii
kaise nagar ko aah mu;habbat ne dii hai aag

 

*{847,9}

angaare se nah girte the aage jigar ke la;xt
jab tab hamaarii god me;N ab to bharii hai aag

 

*{847,11}

afsurdagii-e so;xtah-jaanaa;N hai qahr miir
daaman ko ;Tuk hilaa kih dilo;N kii bujhii hai aag