ghazal
{950}

 
 

*{950,1}

kii sair ham ne siinah-e yak-sar figaar kii
is ta;xte ne bhii ab ke qiyaamat bahaar kii

 

*{950,5}

maqduur tak to .zab:t karuu;N huu;N pah kyaa karuu;N
mu;Nh se nikal hii jaatii hai ik baat pyaar kii

 

*{950,9}

kyaa jaanuu;N chashm-e tar ke udhar dil pah kyaa hu))aa
kis ko ;xabar hai miir samundar ke paar kii