ghazal
{1163}

 
 

*{1163,1}

ab kii hazaar rang gulistaa;N me;N aa))e gul
par us ba;Gair apne to jii ko nah bhaa))e gul

 

*{1163,4}

naa-chaar ho chaman me;N nah rahye kahuu;N huu;N jab
bulbul kahe hai aur ko))ii din baraa-e gul

 

*{1163,12}

kyaa samjhe lu:tf chahro;N ke rang-o-bahaar kaa
bulbul ne aur kuchh nahii;N dekhaa sivaa-e gul

*{1163,13}

thaa va.sf un labo;N kaa zabaan-e qalam pah miir
yaa mu;Nh me;N ((andaliib ke the barg'haa-e gul