ghazal
{1419}

 
 

*{1419,1}

nazdiik ((aashiqo;N ke zamii;N hai qaraar-e ((ishq
aur aasmaa;N ;Gubaar-e sar-e rah-gu;zaar-e ((ishq

{1419,2}

maqbuul-e shahr hii nahii;N majnuu;N .za((iif-o-zaar
hai va;hshiyaan-e dasht me;N bhii i((tibaar-e ((ishq

*{1419,3}

ghar kaise kaise dii;N ke buzurgo;N ke hai;N ;xaraab
al-qi.s.sah hai ;xaraabah-e kuhnah diyaar-e ((ishq

{1419,4}

go .zab:t karte hove;N jaraa;hat jigar ke za;xm
rotaa nahii;N hai khol ke dil raaz-daar-e ((ishq

*{1419,5}

maaraa pa;Re hai uns hii karne me;N varnah miir
hai duur gard-e vaadii-e va;hshat-shikaar-e ((ishq