#
First verse of the ghazal
Notes
 
 
*{201}
ay gul-e nau-damiidah ke maanind
hai tuu kis aafiriidah ke maanind

9 v; M12; 2
{202}
qafas to yaa;N se gaye par mudaam hai .saiyaad
chaman kii .sub;h ko))ii dam ko shaam hai .saiyaad

4 v; M25
*{203}
mere sang-e mazaar par farhaad
rakh ke teshah kahe hai yaa ustaad

16 v; M12; 1, 5, 16
 
1 == diivaan-e avval == re

{204}
uudhar talak hii char;x ke mushkil hai ;Tuk gu;zar
ai aah phir a;sar to hai barchhii kii chuu;T par

9 v; M5
{205}
;Gairo;N se de ishaare ham se chhupaa chhupaa kar
phir dekhnaa udhar ko aa;Nkhe;N milaa milaa kar

9 v; M4
{206}
nah ho harzah daraa utnaa ;xamoshii ai jaras bahtar
nahii;N us qaafile me;N ahl-e dil .zab:t-e nafas bahtar

8 v; M20
{207}
dekhu;N mai;N apnii aa;Nkho;N se aave mujhe qaraar
ai inti:zaar tujh ko kisii kaa ho inti:zaar

7 v; M5
{208}
yih ((ishq-e be-ajal-kash hai bas ai dil ab tavakkul kar
agarchih jaan jaatii hai chalii lekin ta;Gaaful kar

9 v; M20; on v.2 see {802,13}; on v.8 see G{54,1}
{209}
kar ra;hm ;Tuk kab tak sitam mujh par jafaa kaar is qadar
yak siinah ;xanjar sai;Nka;Ro;N yak jaan-o-aazaar is qadar

7 v; M3
{210}
qiyaamat thaa samaa;N us ;xashmgii;N par
kih talvaare;N chalii;N abruu kii chii;N par

9 v; M21; on v.6 see {932,3}
{211}
dil dimaa;G-o-jigar yih sab ik baar
kaam aa))e firaaq me;N ai yaar

26 v; M12; on v.4 see {1374,9}
{212}
labo;N par hai har la;h:zah aah-e sharar baar
jalaa hii pa;Raa hai hamaaraa to ghar baar

11 v; M22
*{213}
;Gu.s.se se u;Th chale ho to daaman ko jhaa;R kar
jaate rahe;Nge ham bhii garebaan phaa;R kar

7 v; M5; 2
{214}
marte hai;N terii nargis-e biimaar dekh kar
jaate hai;N jii se kis qadar aazaar dekh kar

9 v; M5
{215}
dekh us ko ha;Nste sab ke dam se ga))e ukha;R kar
;Thahre hai aarsii bhii daa;Nto;N zamii;N paka;R kar

11 v; M4; on v.8 see {802,13}
{216}
kahtaa hai kaun tujh ko yaa;N yih nah kar tuu vuh kar
par ho sake jo pyaare dil me;N bhii ;Tuk jagah kar

9 v; M4; on v.5 see {277,2}
*{217}
shai;xii kaa ab kamaal hai kuchh aur
;haal hai aur qaal hai kuchh aur

8 v; M12; 1, 3, 5
{218}
dil jo apnaa hu))aa thaa za;xmii chuur
.zab:t-e giryah se pa;R ga))e naasuur

5 v; M12
{219}
;Gairo;N se mil chale tum mast-e sharaab ho kar
;Gairat se rah ga))e ham yak suu kabaab ho kar

7 v; M4
*{220}
ho aadmii ai char;x tark-e gardish-e ayyaam kar
;xaa;Tir se hii mujh mast kii taa))iid-e daur-e jaam kar

5 v; M3; 1, 2, 5; on v.4 see {1896,9}
{221}
rahne kaa paas nahii;N ek bhii taar aa;xir kaar
haath se jaa))egaa sar-rishtah-e kaar aa;xir kaar

7 v; M13
*{222}
;xa:t me;N hai kyaa samaa;N pasiine par
motii goyaa ja;Re hai;N siine par

5 v; M12; 5
{223}
ham bhii phirte hai;N yak ;hasham le kar
dastah-e daa;G-o-fauj-e ;Gam le kar

10 v; M12; on v.3 see {543,1}; on v.3 see {1450,7}
*{224}
daa;Rhii safed shai;x kii tuu mat na:zar me;N kar
baglaa shikaar hove to lagte hai;N haath par

5 v; M5; 1, 2, 3
{225}
pusht paa maarii baskih dunyaa par
za;xm pa;R pa;R gayaa mire paa par

8 v; M12