Tughluqabad

Lodhi tombs, from the Berger Collection

 

Ghazal 78

7 verses (out of 8); rhyming elements: ar hote tak
composed 1821; Arshi #78

{78,1}

aah ko chaahiye ik ((umr a;sar hote tak
kaun jiitaa hai tirii zulf ke sar hote tak

{78,2}

daam-e har mauj me;N hai ;halqah-e .sad kaam-e nihang
dekhe;N kyaa guzre hai qa:tre pah guhar hote tak

{78,3}

((aashiqii .sabr-:talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karuu;N ;xuun-e jigar hote tak

{78,4}

ham ne maanaa kih ta;Gaaful nah karoge lekin
;xaak ho jaa))e;Nge ham tum ko ;xabar hote tak

{78,5}

partav-e ;xvur se hai shabnam ko fanaa kii ta((liim
mai;N bhii huu;N ek ((inaayat kii na:zar hote tak

{78,6}

yak na:zar besh nahii;N fur.sat-e hastii ;Gaafil
garmii-e bazm hai ik raq.s-e sharar hote tak

{78,7}

;Gam-e hastii kaa asad kis se ho juz marg ((ilaaj
sham((a har rang me;N jaltii hai sa;har hote tak

The unpublished verse from this ghazal:

{78,8x}

taa qiyaamat shab-e furqat me;N guzar jaa))egii ((umr
saat din ham pah bhii bhaarii hai;N sa;har hote tak