ghazal
{1903}

 
 

*{1903,1}

jam((a-afganii se un ne tarkash kiye hai;N ;xaalii
kis martabe me;N hogii siino;N kii ;xastah-;haalii

 

*{1903,3}

be-i;xtiyaar shaayad aah us se khi;Nch ga))ii ho
jab .suurat aisii terii naqqaash ne nikaalii

 

*{1903,8}

kal fitnah zer-e sar the jo log ka;T ga))e sab
phir bhii zamiin sar par yaaro;N ne aaj u;Thaa lii