Tughluqabad

Tomb of Iltutmish, from the Berger Collection

 

Ghazal 100

9 divan verses (out of 10); rhyming elements: uur nahii;N
composed after 1826; Arshi #103

{100,1}

;zikr meraa bah badii bhii use man:zuur nahii;N
;Gair kii baat biga;R jaa))e to kuchh duur nahii;N

{100,2}

va((dah-e sair-e gulistaa;N hai ;xvushaa :taala((-e shauq
muzhdah-e qatl muqaddar hai jo ma;zkuur nahii;N

{100,3}

shaahid-e hastii-e mu:tlaq kii kamar hai ((aalam
log kahte hai;N kih hai par hame;N man:zuur nahii;N

{100,4}

qa:trah apnaa bhii ;haqiiqat me;N hai daryaa lekin
ham ko taqliid-e tunuk-:zarfii-e man.suur nahii;N

{100,5}

;hasrat ai ;zauq-e ;xaraabii kih vuh :taaqat nah rahii
((ishq-e pur-((arbadah kii gau;N tan-e ranjuur nahii;N

{100,6}

mai;N jo kahtaa huu;N kih ham le;Nge qiyaamat me;N tumhe;N
kis ra((uunat se vuh kahte hai;N kih ham ;huur nahii;N

{100,7}

:zulm kar :zulm agar lu:tf dare;G aataa ho
tuu ta;Gaaful me;N kisii rang se ma((;zuur nahii;N

{100,8}

.saaf durdii-kash-e paimaanah-e jam hai;N ham log
vaa))e vuh baadah kih afshardah-e anguur nahii;N

{100,9}

huu;N :zuhuurii ke muqaabil me;N ;xafaa))ii ;Gaalib
mere da((ve pah yih ;hujjat hai kih mashhuur nahii;N

The unpublished verse from this ghazal:

{100,10x}

pii;Th mi;hraab kii qible kii :taraf rahtii hai
mahv-e nisbat hai;N takalluf hame;N man:zuur nahii;N